Tum Maeray Daman–o-Rukhsar tu Chuu Saktay ho

(Tum Maeray Daman -O- Rukhsar)

Tum Maeray Daman -O- Rukhsar tu Chuu Saktay ho,

Tum Maeray, Hoo’ntoo kae Angar  tu Chuu Saktay ho,

Maeri Nazuk, see Kalai, ko Massal Saktay hoo,…Laikin!

Tum Maerae Jism Kae, Harrr Khatt ko, Fana kar kae bhi,

Kia Maeri Rooh, kee Gharai, ko Parh Saktay ho?

Tum Akalae hee Nahi, Tum sae kae aur bhi hain,

Jab bhi Chahai’n,  Jaha’n  Chahai’n, Woo Baraih’na kar dain,

Maeri  Majboor,  Jawani  ko Woo  Laila  Kar  dain,

Apni Wahshat–o-Hawis ko, woo Zulaikha, Kar dain,

Pyar  Bikta  hai  Yaha’n,  aur  Isqh  kee  Mairaj,  bhi  Ik Afsana,

Kaun  tha  Qais?  aur,  Farhad  ko  kis  nae Peh’chana?

Zinda  Lasho  ko  Lahad  mai  nahi,

 Mehloo mai,  tum  abh  Dafnana

Kaun  Janae,  kae  Maerae  Jism kae  harr  Zar’rae  sae,

Dard  kee  Koo’nplai’n,  abh  Phuoot Chuki  hain,  Laikin!

Woo Damaktay  hue,  Chay’roo  kae,  Poojaree  hain  Yaha’n!

Woo  tu  Buss  Taak  mai  hain,  koi Jawa’n,  Jism  ho  Jaha’n!

Un ko  Iss  Zakhm  kae,  kuch Karb  Ka,  Ah’saas  Kaha’n.

( A Voice of a Rape Victim )

 aisha200bc.

(Copy Rights Reserved)

6 Comments (+add yours?)

  1. Kas
    May 01, 2011 @ 07:15:41

    Dil Ko chu leni ki aawaz

    Reply

  2. ARVIND KUMAR VISHWAKARMA
    May 11, 2011 @ 12:40:38

    Dear Ayesha Ji,
    I read ” A Voice Of A Rape Victime”.This poem can wake a died soul.
    Now I can say-
    “Duniyaaan Ke Gham Me Goliyaaan Khaakar Jo So Gayeen,
    Anchal Watan Ka Apne Lahoo Se Dho Gayeen.
    Jabtak Thi Jaan Unme , Wo Poorna Chaand Thi,
    Bejaan Jab Huyee to Sooraj Si Ho Gayee”.

    Reply

  3. ARVIND KUMAR VISHWAKARMA
    May 11, 2011 @ 12:57:32

    I read this “Tum Maeray Daman–o-Rukhsar tu Chuu Saktay ho”
    and compelled to paste this song, sung by Lata Ji–

    Aurat ne janam diyaa MardoN Ko, MardoN Ne Use Baazaar Diyaa
    Jab Ji Chaahaa Maslaa Kuchlaa, Jab Ji Chaahaa Dutkaar Diyaa
    Aurat Ne Janam Diyaa MardoN Ko

    Tulti Hai Kahin DeenaaroN Mein, Bikti Hai Kahin BaazaaroN Mein
    Nangi Nachvaai Jaati Hai, AiyyaashoN Ke DarbaaroN Mein
    Ye Vo Be-izzat Cheez Hai Jo, BaNT Jaati Hai IzzatdaaroN Mein
    Aurat Ne Janam Diyaa MardoN Ko

    MardoN Ke Liye Har Zulm RavaaN, Aurat Ke Liye Ronaa Bhi Khataa
    MardoN Ke Liye LaakhoN Sejen, Aurat Ke Liye Bas Ek Chitaa
    MardoN Ke Liye Har Aish Kaa Haq, Aurat Ke Liye Jeenaa Bhi Sazaa
    Aurat Ne Janam Diyaa MardoN Ko

    Jin HoThon Ne Inko Pyaar Kiyaa, Un HoThon Kaa Vyopaar Kiyaa
    Jis Kokh Mein Inkaa Jism Dhalaa, Us Kokh Kaa Kaarobaar Kiyaa
    Jis Tan Se Uge Kopal Ban Kar, Us Tan Ko Zaleel-o-Khaar Kiyaa
    Aurat Ne Janam Diyaa MardoN Ko

    MardoN Ne Banaayee Jo Rasmen, Unko Haq Kaa Farmaan Kahaa
    Aurat Ke Zindaa Jalane Ko, Qurbaani Aur Balidaan Kahaa
    Qismat Ke Badle RoTi Di, Aur Usko Bhi Ehsaan Kahaa
    Aurat Ne Janam Diyaa MardoN Ko

    Sansaar Ki Har Ik Besharmi, Ghurbat Ki God Mein Palti Hai
    ChakloN Hi Mein Aa Ke Rukti Hai, FaaqoN Mein Jo Raah Nikalti Hai
    MardoN Ki Havas Hai Jo Aksar, Aurat Ke Paap Mein Dhalti Hai
    Aurat Ne Janam Diyaa MardoN Ko

    Aurat Sansaar Ki Qismat Hai, Phir Bhi Taqdeer Ki HeTi Hai
    Avtaar Payambar Janti Hai, Phir Bhi Shaitaan Ki BeTi Hai
    Ye Vo Badqismat MaaN Hai Jo, BeToN Ki Sej Pe LeTi Hai
    Aurat Ne Janam Diyaa MardoN Ko…

    Reply

  4. Hammad Zia
    Nov 12, 2011 @ 23:15:59

    بہت عمدہ، اس نظم میں واقعی عورت کی کُچلی ہؤی روح کی آواز سُنأی دیتی ہے ۔ یہ ایک سوال بھی ہے کہ کیا مرد عورت کے جسم سے پیچھے اُس کی روح کی گہرأی میں کبھی جھا نکنے کے قا بل بھی ہو گا ؟

    Reply

Leave a comment